Manisha Dubey Update Profile

Yoga Teacher at Malad West, Mumbai - 400064

Aaj ki bhagdaud wali zindagi main yoga kisi vardan se kam nahi hai, hamare bhartiyon ke liye ye garv ki baat hai ki yoga ka janam yahi hamari Baharat bhumi par hua hai aur yahi se ye duniya main faila.hamare Rishi Muniyon ne bahut pehle hi is adbhut yoga ke faydon ke bare main bata diya tha, lakin agar iska asli shreya jata hai to wo hamare 'Patanjali Mahirshi' ko jata hai jinhone iss adbhut yog ko duniya ke samaksh rakha aur aaj kai aur log ise aage badha rahe hai jinmain aaj hum 'Baba Ramdev' ka naam le sakte hai.

Yoga aapko sirf physically fit nahi rakhta hai balki Mansik roop se bhi swasth rakhta hai aur sabse badi baat ye ki, ye aapko aadhyatam ke raste par chalne main bhi madad karta hai. Yog ke saath agar aahar bhi sahi liya jaye to sharir puri tarah swasth rehega aur hum bimar nahi padenge.

Yoga saath hi hume niyam aur sanyam bhi sikhata hai, 'Ashtang Yoga' ke jariye hum Jevan jene ke bare main jante hai, saath hi yoga aapko moksh prapti tak bhi laker jata hai, aaj ke samay main humne yoga ko bahut sankuchit kar liya hai lakin iske kai saare vishestaon ke karan ye aaj duniya bhar main aapni jagah bana chuka hai jise 77 muslim countries ne bhi accept kiya hai.

21-June Yog Divas ko kaise bhula ja sakta hai to bas aap bhi yog kare aur swastha rahe.

Namaskar.